Maine Chamatkar Hote Dekha Hai | Maa Durga Bhakti Kavita
Namaste/Hello doston!
Jab har taraf se lage ki hum haar rahe hain, tab Ishwar par hamari aastha aur vishwas ka ek chhota sa tinka bhi humein bade se bade toofan se ladne ka hosla deta hai. Maine apni zindagi ki har kathin ghadi mein uss alokik shakti ko apni dhaal bante mehsoos kiya hai. Aaj ki meri ye panktiyaan Devi Maa ke charnon mein samarpit hain...
Badi se badi vipda ho,
Chahe zindagi ki spardha ho,
Devi maa ko dhaal bante dekha hai,
Maine chamatkar hote dekha hai...
Chahe dhokhon ki maar bhaari ho,
Ya apno ke fareb se haari hoon,
Devi maa ko rakshak bante dekha hai,
Maine chamatkar hote dekha hai...
Chahe bheed mein akeli hoon,
Ya sab kuch lagta paheli ho,
Devi maa ko saath khade dekha hai,
Maine chamatkar hote dekha hai...
Bin maange jholi bharte dekha hai,
Bin haq ke sab kuch milte dekha hai,
Maine Devi maa ka chamatkar dekha hai...
Devi Maa ki kripa ko kuch shabdon mein sametna shayad mumkin nahin, par yeh meri ek chhoti si koshish hai unke aashirwad ko bayaan karne ki.
Maa Durga ka aashirwad aur kripa aap sabhi par hamesha bani rahe. Mere sabhi readers ko Durga Ashtami aur Ram Navami ki dher saari hardik shubhkamnayein!
Jai Mata Di🙏
Meri pichhli kavita Tere Sametne Ke Intezaar Mein yahan padhiye.
Kuch naye ehsaas likhne ki koshish mein...
Aapki Swati...

Comments
Post a Comment