My Books
अहसास-ए-अल्फ़ाज़ : बेनक़ाब पन्ने
Ehsaas-e-Alfaaz : Benaqab Panne — Bhag 1
Yeh kavita-sangrah kisi kalpana ki upaj nahi hai, balki us samaj ka aaina hai, jise hum aksar andekha kar dete hain.
Kitab ke Baare Mein:
Yeh 21 kavitaon ka ek aisa aaina hai jo hamare aas-paas bikhre unkahe sacho, dabi hui aawaazon aur insaani ehsaason ko bina kisi naqaab ke saamne rakhta hai. Yahan alfaaz kisi ek rishte ya chaar-deewari mein simte nahi hain, balki samaj ke har us pehlu ko chhoote hain jise hum dekhte toh hain, par mehsoos karne se katarate hain.
Apni Pasand Ka Format Chunein:
📱 E-Book (Digital Format):
Bina kisi delivery ke intezaar ke turant apne phone ya Kindle app par padhein.
📖 Paperback (Printed Book):
👉 Kitab ke panno ki khushboo aur ehsaas ke saath ise apne ghar mangwayein.
Kitab padhne ke baad apne sachhe review zaroor saajha kijiyega, kyunki aapke shabd hi mere agle lekhn ki taaqat hain.
Kuch naye ehsaas likhne ki koshish mein...
Aapki Swati...

Comments
Post a Comment