Aaj Ravan Ko Bachane Khud Ram Aaya Hai | Dussehra Special Poem
Namaste/Hello doston!
Har saal Dussehra par lakho log Ravan dahan dekhne ikatthha hote hain, par kya sach mein Ravan ka putla jala kar humne Bhagwan Shree Ram ko paa liya? Kya humne sach mein unke aadarshon aur maryada ko apne jeevan mein utara hai, ya yeh sab bas har saal karne wala dikhava aur prapanch bankar reh gaya hai?
Kyunki jo sach mein Bhagwan ko maanta hai, jo sach mein Shree Ram ji ko dil se maanta hai—woh chah kar bhi kisi ke saath kabhi bura ya anyay nahi kar sakta. Hairani ki baat toh yeh hai ki jis samaj mein aurat ko 'Devi' ka darja diya gaya hai, usi samaj mein sabse zyada durgati, apmaan aur dard bhi usi aurat ko jhelna padta hai.
Aaj Dussehra par bheed mein lage 'Jai Shree Ram' ke naaron ke peeche samaj ke dohre charitra ko aaina dikhati meri yeh kavita...
Ravan ko jalane ke liye bheed jama hai,
Seeta maa ke insaaf ke liye aaj bhi har koi khada hai...
Ram ji bhi aaj khud dekhne aaye hain lakhon karodon ki bheed ko,
Jinme unko ab tak koi sahi insaan nahi mila hai.
Koi biwi ke saath maarpit karke aaya hai,
Toh Koi issi bheed mein kisi ladki ko chhed ke aaya hai...
Kisi ka haath ab bhi kisi aurat ke seene par hai,
Toh koi jismon ko dekh kar apni aankhein sekne aaya hai.
Koi toh nashe mein choor hokar 'Jai Shree Ram' chillaya hai,
Sadhu ke bhesh mein koi balatkari bhi aaya hai...
Jo har roz karta hai apne maa-baap ka tiraskar,
Woh toh aaj saakshaat manch par 'Shree Ram' bankar aaya hai!
Ram ji toh ab bhi dekh rahe hain lakhon karodon ki bheed ko...
Itni haivaniyat ka shayad unhein bhi andaaza na tha,
Unki janmabhoomi Bharatvarsh, jahan mataon ki asmita ka janaaza sa tha...
Ram ji dhoondh rahe hain lakhon karodon ki bheed mein ab apne Ravan ko,
Kyunki aaj Ravan ko bachakar le jaane, khud Ram aaya hai!
Kya hum sach mein Ram ji ke aadarshon par chal rahe hain ya bas is bheed ka hissa ban kar reh gaye hain? Is par aapka kya sochna hai, comments mein zaroor batayein.
Meri pichhli kavita Maine Chamatkar Hote Dekha Hai yahan padhiye.
Kuch naye ehsaas likhne ki koshish mein...
Aapki Swati...

Comments
Post a Comment