Meri Pehli Kitaab — 'Ehsaas-e-Alfaaz: Benaqaab Panne'
Namaste/Hello doston!
Agar aap kaafi waqt se is blog par mere sath jude hain, toh aap jaante ho ki meri hamesha yahi koshish rahi hai ki jo kuch bhi sach aur sahi hai, use bina kisi banaawat ke seedhe shabdon mein bayaan kar sakoon.
Par kuch baatein aisi hoti hain jo hum rozmarra ki zindagi mein dekhte hain—samaaj ke dohre chehre, unsune dard, unkahi sachhaiyan aur wo mudde jinpar aksar sab khamosh rehte hain. Inhi ehsaason ko ek nayi aawaaz dene ki maine ek chhoti si koshish ki hai.
Aaj mujhe yeh batate hue behad khushi ho rahi hai ki mera pehla kavita sangrah—'Ehsaas-e-Alfaaz: Benaqaab Panne' ab officially publish ho chuka hai aur Amazon aur Flipkart par live hai!
Is kitaab ke baare mein:
"पूजा न करो मेरी, पर सम्मान तो करो,
मातृसत्ता नहीं चाहती मैं,
पर इस पितृसत्ता से आज़ाद तो करो...
मुझे कोई उम्मीद नहीं ख़ास तुमसे, इतना जान लो,
एक नारी हूँ मैं... बस मुझे इंसान मान लो!"
(Kitaab ke pannon se ek jhalak👆)
Yeh 21 chuni hui kavitaon ka ek aaina hai, jo panno par utara gaya hai. Yeh sirf alfaaz nahi hain, balki un sawaalon aur ehsaason ka sangrah hai jo hum sab ke zehen mein kahin na kahin chalte rehte hain.
Aap sabka pyaar aur feedback hi meri sabse badi taakat raha hai. Agar aapko mera likhna pasand aata hai, toh is kitaab ko zaroor padhein aur is chhoti si koshish ka hissa banein.
Aap apni copy yahan se order kar sakte hain:
Kitaab padhne ke baad apna honest review aur feedback zaroor share kijiyega—chahe blog ke comments mein ya Amazon/Flipkart par. Ek nayi lekhika ke taur par aapka ek-ek shabd aur review mere liye behad keemti hoga.
Hamesha sath bane rehne ke liye aapka dil se shukriya!
Kuch naye ehsaas likhne ki koshish mein...
Aapki Swati...

Comments
Post a Comment